Contributed by: Amit Goyal (amitgoyal_pau @yahoo.com)
kuch pal ka tha fasana mera
yaad karte hai sab afsaana mera
main is zindagi me tumhe kuch na de saka
tum jaate jaate legayi karaar mera
abr-e-karam ne tumhe kahi chupaa rakha hai
wahi pe kahi chupa hai sitaara mera
pehle kabhi khwaabon pe aetbaar nahi tha
ab khwabon me karta hu intezaar tera
tumhari ruksati ki kya wajah hai
ab yahi poochta hai har dam dil mera
dil se har dum ek aah nikalti hai
haar aah me kahi chupa hai naam tera
ab nahi koi raazdaan
jise bayaan kardu saara raaz mera
maut ka khauf nahi ab mujhko
mujhe yakeen hai wahi milega mujhko humsafar mera
No comments:
Post a Comment