mere khawabon mein rang uss ne bhare
phool mere naam ke kitabon mein uss ne dhare
dil dhrkta hey jab pehn kar woh hijaab aaye
kiya ho hashar mera jo kabhi woh be niqaab aaye.
woh shokh nazron se dekh le tu qaddam mere behkene lagte hein .
woh uski qaamat , jissam jesse sarma ki dhoop
uski chaal uski muskan uska rang roop
dekh ke saahair shair kehne lagte hein
dhoond rahi thi nah jane kab se usse meri nigaha
sun kar awaz koel jaisi hoa mein bhi aagaha
jiss ki awaz hey aise woh khud kaissi hogi
uske hussan ki salamti ko dil deta hey dua.
lub bolein nah bolein ankheein bolti hein
chupana lakh chaho dil ka baed kholti hein
labon per baat aae bhi tu poori kabhi adhoori
ankhon mein tu chahtein jhoola jhoolti hein.
unse kuch kehne ka irada kiya tha mein ne
kuch likh ke saher dil ki batein ki waa mein ne
chilman ki oat se li unke anchal ki hawa mein ne
kehna bhi chah lekun kehnne ka kiya na hosla mein ne.
piyar ki baresh mein bheegta woh kitna accha lage
apne aap ko bheegte lajate sharmate
bekhabar apni hi dhun mein gungunate
mujhko tu woh aik jal pari aik apsraa lage
No comments:
Post a Comment