Zindagi
Contributed by: Bharathi Natraj (amitgoyal_pau @ yahoo.com)
"Zinda rahe toh phir milenge".
Magar aap se mil ke
Ish dil ne mehasoos kiya hai ki,
"Aapse milte rahe toh Zinda Rahenge".
Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte
Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bahut chahat hai,
par milne ke baad judaai se darte hain
Yaad aaye to aankhen band na karna,
hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.
Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga,
Jaise amavas ne har raat chand maanga.
Ruth gaya woh Khuda bhi humse,
Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga
usi se mohabbat kyun hoti hai.
Yaadain teray khluuse ki dustti hain aaj bhi
Milnay ki aarzooain trastii hain aaj bhi
Ankhain hazaar zabt ki koshish kay bawajood
Ruk ruk kay baar baar barstii hain aaj bhi
Phul ki tarah haste raho to hum khush hai,
Dil kholkar jeete raho to hum khush hai,
yeh nahi kehte ki roj milo,
bas kisi din yaad karliya karo to hum khush haia
You may also like to read
No comments:
Post a Comment